how to register landline number in whatsapp in hindi | WhatsApp ko landline number se use Karne Ka tarika

Landline number ko WhatsApp me kaise use Kar sakte hai janiye iss article me 


Hello friends Welcome to supportmera website | dosto aaj Mai aapko iss article me bahot hi khaas information bata Raha hu WhatsApps ko landline number se kaise register kare uski Puri information | padhiye iss article ko Pura| let's start articles
how to register landline number in whatsapp in Hindi

how to register landline number in whatsapp in Hindi

Dosto kya aapko pata hai ki WhatsApp ko landline number se bhi use me laya jaa Sakta hai agar aap apne Private number ko hide rakhna chahte hai to bata de ki WhatsApp ko landline number se chalaya jaa Sakta hai |

Massaging APP Bolte hi sabse pahele WhatsApp Ka name aata hai India me iski Popularity ko lekar koi Doubt nahi hai har kisi ke phone me WhatsApp hota hi hai aur mostly people eesi Ka use Apne.
jaan-pahechan ke logo se contact ya baatchit Karne ke liye karte hai aaj ki date me WhatsApp only massaging APP hi Nahi Raha hai yah users ko voice aur video call Karne ki bhi facility Deta hai |

Lekin dosto iss massaging APP ko use Karne ke liye Aapke pass WhatsApp ko support Karne wala device, Internet, aur mobile number, Hona chahiye lekin kya aapko pata hai ki WhatsApp ko landline number se bhi use me laya jaa Sakta hai agar aap apne private number ko hide rakhna chahte hai to bata de ki WhatsApp ko landline number se chalaya jaa Sakta hai

how to register landline number in whatsapp in Hindi

Recently WhatsApp ne apna business app launch Kiya tha Dekha jaaye to aisa Karke iss massaging platform ko ek Naya Dimensions mil Gaya company ne business house ko ek Tarah se Apne customers se contact Karne ke liye secure tarika to Diya hi hai sath me yah bhi clear Kiya hai ki  Small businessman chahe to Apne WhatsApp account ko mobile number ki jagah landline se Chala sakte hai 

Dosto Kai Baar aisa hota hai ki businessman Apne private mobile number ko hi business ke liye hi use karte hai yah facility Milne ke baad un businessmen ne chain ki saans Lee hogi Jo business ke liye Kisi mobile number ki jagah landline Ka number use Karna Pasand karte hai yaani ab apne landline number ko sidhe WhatsApp business app se jod sakte hai |

Landline number se WhatsApp use Karne Ka tarika 

★ sabse pahele Apne mobile phone me WhatsApp business app ko install Kar le, Iske baad Apne mobile phone, tablet, laptop, ya WhatsApp support Karne wale device par app ko open kare 

★ Iske baad WhatsApp app aapko country code choose Karne ko kahega Iske baad 10 figures wala mobile number daalne ko Kaha Jayega Yaha par aap apna landline number bhi daal sakte hai

★ app me Verification SMS ya calling ke jariye hoga | kyo ki landline number Ka use Kiya hai isliye SMS to Nahi ayega lekin app pahele SMS hi bhejta hai fir karib 1 minute baad dobara SMS bhejne ya call Karne wala button active ho jata hai Yaha par aap "call me" option ko choose kare

★ aap Jaise hi call option par click Karenge to aapke landline number par call aa Jayega yah ek automatic voice call hota hai isme aapko 6 digit number wala verification code bataya Jayega 

★ aap iss verification ko app me daal de Iske baad aapka WhatsApp account landline number par set-up hone lagega Yaha par pahele ki Tarah profile photo aur name likh sakte hai aur ab aapka WhatsApp landline number se verify ho Gaya hai |
how to register landline number in whatsapp in Hindi

how to register landline number in whatsapp in Hindi

I hop ki aapko yah information Pasand Aayi hogi aisehi technical se related information jaante rahene ke liye aap Hamare website ko follow Kar sakte hai
Mai aisehi tips and tricks post karte rahata hu mere iss blog par | share this article your friends................ Thank you

Author-Zameer sheikh